Title: Meri baat maan lo.....
Kabra pe betahasha rote hue shakhsa se humne puchha,
kis ki yaad mein ro rahe ho is bekadar?
jaroor koi tumahaara aziz ya dil-e-jigar raha hoga,
ya phir marhoom bibi ka ghum tumhe khaa raha hoga
shakhsa bola, aisi koi baat nahin hai,
wafaai aur jazbaat ki takraar nahin hai
hum ye baat sunkar chakraa gaye,
thode girre phir sambhalaa gaye
poochaa ,ye raaz humen bhee sunaao
apni mashooka ka kissa to farmaaao
wo bolaa,
ye meri bibi ke pehle pati ki kabar hai,
kon thaa,nahin mujhe iski koi khabar hai
zindaa hota aaj 'vo',to mein aazad hota,
na mera husn-e-mahal is kadr barbaad hota
Al-Qaida ke kaidiyon se bhi buraa haal hai,
haath pair khulle par dil zakhmon se laal hai
aey mere hamdard aur saathiyon,kya tumhe ehsaas hai,
ki shaadi aur wafaai, is zamaane mein itihaas hai.
Jinki ho gai , vo pachhta rahe hain,
Jinki nahin hui, vo chakra rahe hain
third wife aur fourth husband ka zamaana hai
her kids,my kids and our kids kya anjaana hai?
Apne ko pehchaan lo ,'living together' ko jaan lo,
Laila Majnoo ko bhoolkar , meri baat maan lo.
No comments:
Post a Comment